mere thande badan ko aanch di hai apne sine ki mere sukhe labon ko apne honton ki nami di hai meri sanson ko apni dhadkanon ki ragni di hai tera maqruz hun main na soya farsh par to mamta ka ban gai bistar kabhi barsat mein tapka purane phuns ka chhappar mujhe banhon mein apni kas liya aur bichh gai mujh par meri tanhaiyon ko loriyon se gudgudaya hai mere ashkon ko tu ne apni palkon par uthaya hai kahin tab ja ke ye masum bachpan muskuraya hai teri ungli pakad kar dopahar ki dhup mein aksar phira hun nange panw aur apni be-kasi dekhi teri aankhon mein lekin zindagi ki raushni dekhi meri khatir uthae hain musalsal bar-e-gham tu ne meri khatir zamane bhar ki tu ne khak chhani hai meri khatir andheron se kiran ki bhik mangi hai tera maqruz hun main zindagi ab teri khatir hai jo kal guzra wo aansu tha use aankhon se tapka de nawed-e-subh-e-hasti hun mere mathe pe bosa de tera maqruz hun main