tum jo mitti mausam aur rang pahchante ho apne talwon ko khurach kar dekho to an-ginat sadiyon purani mitti ka lams pa kar khush hoge tum jo mitti ho aur zara ghaur se dekho to tumhaare jism ki bairuni sathon par be-shumar mausamon ke nishan tumhein saf dikhai denge tum jo mausam to nahin ho lekin mausamon hi se janme ho aur mausamon ka ras pi kar hi parwan chadhe ho aao tumhein mausam ki sangya de den aur rangon se to tumhaara nata waisa hi hai jaisa mitti aur mausam ka hai tum jo mitti mausam aur rang pahchante ho khud mitti khud mausam aur khud rang ho