zauq-e-takallum par urdu ne rah anokhi kholi hai rang ki gahrai napi hai phul ki khushbu toli hai ye nazuk jazbaat ke albele izhaar ki boli hai urdu pyar ki boli hai garmae tahzib ki mahfil chamkaya afsane ko rang bikhera aanchal aanchal rup ka man badhane ko shabdon ke pyale mein is ne dil ki lali gholi hai urdu pyar ki boli hai 'mir' ne dil ki dhadkan di 'iqbaal' ne fikr ka nur diya 'ghaalib' ne aaghosh ko is ki husn-e-qarib-o-dur diya jis pe khazinon ko rashk aae urdu ki wo jholi hai urdu pyar ki boli hai krishn ke afsanon ka jadu dilon ka sauda karta hai 'jigar' ka naghma aankhon hi aankhon mein ishaara karta hai milon se khaliyanon tak raqs mein diwanon ki toli hai urdu pyar ki boli hai git 'firaq' ke jhilmil jhilmil karte hain mashal ki tarah hurmat ki lai saya-fagan hai sawan ke baadal ki tarah kis laila ka mahmil hai ye kis gori ki doli hai urdu pyar ki boli hai