main har daur mein janma baaten har yug ki dohra sakta hun mujh se puchho main suqraat ke honton par tha zahr ka pyala main ne piya tha aur suqraat mera kab tha ram ne kab ban-bas liya tha wo to main tha chaudah sal to main ne kate jangal jangal sahra sahra main bhatka tha aur lanka tak tum ko to malum nahin hai main bhi nuh ki kashti par tha tum kya jaano wo kashti to dub gai thi us kashti ka koi musafir kahan bacha tha bas ek main hi bach nikla tha mujh se puchho aur bahut si baaten main samjha sakta hun main har daur mein janma main har daur mein janma baaten har yug ki dohra sakta hun