husn ki aab-o-tab ne mara be-gunah is sawab ne mara hae afsos is budhape mein tere kafir shabab ne mara dil phansa hai ajib uljhan mein zulf ke pech-o-tab ne mara waise mera sawal sidha tha tere ulte jawab ne mara us ne hi mujh ko intikhab kiya nigah-e-intikhab ne mara ittifaqan jo ho gai ulfat na-gahani azab ne mara wo jawabon pe de rahe hain jawab is jawab-ul-jawab ne mara jang aur jang bhi girani ki is double inqalab ne mara pet mein aant aur na munh mein dant phir bhi zalim khizab ne mara ab junun ki ho kis tarah takmil na-mukammal shabab ne mara ishq bechaargi ke haal mein hai husn ke roab-o-dab ne mara rang kala hai gul-badan hai magar aise kale gulab ne mara tu hi kah kyon na mera dam ghutta tere beja hijab ne mara zindagi talkh ho gai hai 'zarif' is jahan-e-kharab ne mara