rakh ka sarang pahne barf ki lash hai lade ka sa badan pahne gungi chahat hai ruswai ka kafan pahne har ek qatra muqaddas hai maile aansu ka ek hujum apahij hai aab-e-kausar par ye kaisa shor hai jo be-awaz phaila hai ro pahli chhanw mein bad-namiyon ka dera hai ye kaisi jannat hai jo chaunk chaunk jati hai ek intizar-e-mujassam ka nam khamoshi aur ehsas-e-be-karan pe ye sarhad kaisi dar-o-diwar kahan ki aawargi ke nur ki wadi talak lams ka ek safar tawil har ek mod pe bas do hi nam milte hain maut kah lo jo mohabbat nahin kahne pao usi ka nam mohabbat hai jis ka nam hai maut