uth az-sar-e-nau dahr ke haalat badal dal tadbir se taqdir ke din-raat badal dal phir dars-e-musawat ki hajat hai jahan ko aaqai-o-khidmat ke khitabaat badal dal kala ho ki gora ho khuda ek hai sab ka qaumiyyat-e-beja ki riwayat badal dal chini ho ki hindi ho barabar ke hain bhai wataniyyat-e-mahdud ke wahmat badal dal kul chhote-bade aadam-e-khaki ke hain farzand har nasl se bezar ho har zat badal dal akhlaq mein taqat hai fuzun tegh-o-sinan se paikar ke ye aahani aalat badal dal kya zulm hai insan ho insan ka dushman mardan-e-hawas-kar ki aadat badal dal mehnat se bhi mazdur ko roti nahin milti is banda-e-majbur ke auqat badal dal aapas mein ye har roz ki khun-reziyan kab tak khud-sakhta mazhab ki rusumat badal dal hurriyat-e-kaamil ka wo eajaz dikha tu duniya-e-ghulami ke tilismat badal dal khilqat ko bula shirk se tauhid ki jaanib piron ki faqiron ki karamat badal dal talim pe mauquf hai ranai-e-afkar behuda kitabon ki khurafat badal dal kar fikr-e-amal zikr-e-khat-o-khal abas hai ai 'faiz' zara apne khayalat badal dal