main sun raha hun main sun raha hun tumhaari aankhon ka shor tumhaare masamon se bund bund tapakti hui aawazen tumhaari chhatiyon ki nili nili lakiron ke darmiyan kunmunate hue bachchon ki sargoshiyan palak jhapakte hi shahr ka shahr hijrat kar gaya padaw dal diye gae wahan jahan koi mausam nahin hota darakht parindon se khali bachchon ko nind nahin aati kuchh runuma nahin hota chizon ne apne mamul badal diye hain rasul aate hain aur be-bayan chale jate hain khuda ki bastiyan kabhi itni viran nahin hui thin ab tum aaoge to dekhoge waqt, jahan tahan se phat gaya hai use apni rah par lana kitna aasan hai kitna mushkil un saaton par kamanden dalna jinhon ne mauqa pa kar apni raftar pakad li dekhte hi dekhte dusri aabaadiyon ki taraf nikal gain bujhi hui rakh ke dher mein tasalliyan munh bisore hue padi hain amaltas ki sukhi shakhon par tange hue hain sabr ke chithde purzon mein badal chuke hain aarzuon ke be-payan tasalsul dha chuke hain andar hi andar shir-khar ummidon ke tile jinhen dekh kar tumhein yaad aaega rishton ke bharam kitne saffak hote hain kitne pur-zor hote hain waste jo tutte hain to un mein se ek chikh bhi baramad nahin hoti sara jahan hi tut, bikhar jata hai gardish karte hue khun mein barf ki kilen gad jati hain jaise sara jism hi aa gaya ho kisi sarkash aandhi ki zad mein aur ek ek kar ke haddiyon ke sare jod hi khulte ja rahe hon bikharte ja rahe hon sare masam girte ja rahe hon hum un chauhadon par jahan sirf khwabon ke bij boe jate hain aur fasl ke nam par hafize ke azab numu pate hain jaise hum ek azim hijr ki paidawar hain umren dukhon ke hisab se tawil dukh dushman ki bedar nigahon se ziyaada zinda apne kandhon par apni sanson ke khamiyaze hain aur main apni hi nindon mein daudte daudte thak gaya hun