koh-e-nida se aage By Nazm << rahdari mein gunjti nazm tazlil >> usi gumbad-e-hasht-pahlu ke aage wahi ek kikar ka chhidra sa ped jahan aa ke pahle-pahal mein ruka tha wahin aa khada hun magar is jharoke ka jis mein se ek khub-surat sa chehra mujhe dekh kar pahle roya tha aur phir hansa tha nishan tak nahin hai Share on: