tum ne suna mausam ne sabze ki zabani kya kaha? ye nahin un ki jagah ye bhi kaha ki mutribon ka taifa un ke liye hai sirf jin ka samea mo'taqid hai subh-e-nau ke tarbiya ilhan ka aur taeron ne yak zaban is baat ki tasdiq ki gardan hilai saq par har phul ne aur pith de kar apni khushbu rok li munh mod kar shakhon ne roki hai hawa katra ke guzri hai rawish dekho sahar jo thi hamari dost ab hum ko nahin pahchanti kya kar rahe hain hum yahan? uttho chalo! kuchh hai hamara bhi waqar dekho! ishaare se bulata hai hamein wo reg-zar