bara-dari mein chand sar-e-sham ho gaya rah-dariyon ke parde udati rahi hawa mashal-tale ghulam ki talwar kho gai burgi pe jab sitara gira raat thi bahut aur shah-e-waqt apne hi nashshe mein mast tha pishwaz niche daera us ko nahin mila bara-dari mein aag lagi thi lagi rahi aur bansuri ke nai kahin khamosh rah gai aur chand shahzadi ke qadmon mein so gaya phir yun hua ki dard se aansu hue gulab aur aanhken huin charagh yalghaar raston pe rahi aandhiyon ki shab aur dhul aasman ko barbaad kar gai sab aanganon ke kachche ghadon mein bhari hai ret pani lahu hua sarshaar o mast kaise zamin par gira hai taj so is ke baad chaal o tarikh ne chali yalghaar-e-barq-o-baad hui hai gali gali boson mein bhigti hui tanhaiyon ki yaad aur subh ki azan se ude dilbari ke rang aur khwab jangalon mein bhatakte rahe kahin baala-hsar shahr-e-pinah baam-o-dar mahal tufani barishon mein bhi khilte rahe gulab ham-juft sara shahr bara-dari mein zindagi be-nam ho gai