wo sard raat jabki safar kar raha tha main ranginiyon se zarf-e-nazar bhar raha tha main tezi se jangalon mein udi ja rahi thi rail khwabida kaenat ko chaunka rahi thi rail mudti uchhalti kanpti chinghadti hui kohre ki wo dabiz rida phadti hui pahiyon ki gardishon mein machalti thi ragni aahan se aag ban ke nikalti thi ragni pahunchi jidhar zamin ka kaleja hila diya daman mein tirgi ke gareban bana diya jhonke hawa ke barf bichhate the rah mein jalwe sama rahe the laraz kar nigah mein dhoke se chhu gain jo kahin sard ungliyan bichchhu sa dank marne lagti thin khidkiyan pichhle pahar ka narm dhundlaka tha pur-fishan mayusiyon mein jaise umidon ka karwan be-nur ho ke dubne wala tha mahtab kohre mein khup gai thi sitaron ki aab-o-tab qabze se tirgi ke sahar chhutne ko thi mashriq ke hashiye mein kiran phutne ko thi kohre mein tha dhake hue baghon ka ye saman jis tarah zer-e-ab jhalakti hon bastiyan bhigi hui zamin thi nami si faza mein thi ek kisht-e-barf thi ki muallaq hawa mein thi jadu ke farsh sehr ke sab saqf-o-baam the dosh-e-hawa pe pariyon ke simin khiyam the thi thande thande nur mein khoi hui nigah dhal kar faza mein aai thi huron ki khwab-gah ban ban ke phen su-e-falak dekhta hua dariya chala tha chhod ke daman zamin ka is shabnami dhundalke mein bagule the yun rawan maujon pe mast ho ke chalen jaise machhliyan dala kabhi fazaon mein khat kho gae kabhi jhalke kabhi ufuq mein nihan ho gae kabhi engine se ud ke kanpta phirta tha yun dhuan leta tha lahr khet mein kohre ke aasman us waqt kya tha ruh pe sadma na puchhiye yaad aa raha tha kis se bichhadna na puchhiye dil mein kuchh aise ghaw the tir-e-malal ke ro ro diya tha khidki se gardan nikal ke