tu ne to mujh ko dekha hai raat ke sahra ka wairagi chhup ke amiltason ke pile pairahan mein main ne tere kamre ki pichhli khidki se tujh ko gahri nind mein hanste karwat lete ruthte mante dekh dekh kar akasr apni raat guzari tu ne to mujh ko dekha hai main wo gunga chand hun jis se tu ne hamesha apne dil ki baat kahi hai aaise har mauqa par main ne ye socha hai tu ne mujhe pahchan liya hai warna tu yun mujh se dil ki baat na kahti tu ne to mujh ko dekha hai main hi hawa ka wo jhonka hun jis ne akasr tere gesu uljhae hain tere qarib aane ki khatir main ne anekon rup banae main baadal ban kar bhi aaya tere shahr mein teri gali mein tere darwaze par ruk kar main ne tujh ko aawazen din main aaya hun main aaya hun tu ye aahat sun kar ya to kamre se aangan mein aai ya phir is darja sharmai aangan se dalan mein bhagi aaise har mauqa par main ne ye socha hai tu ne mujhe pahchan liya hai warna meri aahat to aangan se dalan mein aakhir yun kyun jati ek chappal hai panw mein ek aangan mein padi hai kya main ab bhi yaad na aaya tu ne jise aaina jaana wo main hi hun meri hairani mein tu ne apne-ap ko pahron dekha meri hairani ne tujh ko batlaya hai tu kaisi hai! jab bhi meri hairani ne tere husn ki shan mein koi git sunaya tu ne meri hairani ko chum liya hai aaise har mauqa par main ne ye socha hai tu ne mujhe pahchan liya hai kya tujh ko wo sabza bilkul yaad nahin hai shabnam se bhiga wo sabza jis se tu chhup chhup kar nange panw mili hai jis ke rukhsaron par tu ne apne angaron jaise rukhsar dhare hain main ne aaise har mauqa par ye socha hai tu ne mujhe pahchan liya hai warna tu mujh se milne yun chhup kar nange panw na aai! kya main ab bhi yaad na aaya tu ne to mujh ko dekha hai ghairon se kya puchh rahi hai kaun hai ye jo yun tujh ko apna kahta hai