ye jo ek nur ki halki si kiran phuti hai kaun kahta hai ise subh-e-darakhshan ai dost mujh ko ehsas hai baqi hai shab-e-tar bhi lekin ai dost mujhe raqs to kar lene de kam se kam nur ne ulta to hai ek bar naqab ek lamhe ko to tuta hai tilism-e-shab-e-tar is se sabit to hua subh bhi ho sakti hai parda-e-zulmat-e-shab chaak bhi ho sakta hai subh-e-kazib bhi to hai asl mein dibacha-e-subh subh-e-kazib bhi to hai subh-e-darakhshan ki nawed ek elan ki hangam-e-wida-e-shab hai qafila nur-e-sahar ka hai bahut hi nazdik jald hone ko hai khurshid-e-darakhshan ki numud