samaaten bain kar rahi hain ki log har-chand bolte hain magar kuchh aise ki jaise un ki zaban o lab ke wo sare hisse jo barmala guftugu ki sachchi adaegi ke liye banae gae the mafluj ho gae hain basar-kharashi ki intiha hai ki sari baaten jo an-kahi hain tamam chehron ki lauh-e-mahfuz par likhi hain koi batao ki jab kisi ki zaban chehre ka sath chhode to aisi haalat ko kya kahen ham? koi batao ki jab bahut se azab chehre zaban ban jaen to zabanon ko kya likkhen ham? jo ye zamana hai misl-e-firdaus in zamanon ko kya likkhen ham? zamam goyai jab zabanon ke hath mein thi huruf-e-abjad qarar mein the zaban o lab ke hisar mein the