sokhta-jaan sokhta-dil sokhta ruhon ke ghar mein rakh gard-e-atishin sholon ke sae naqsh hain diwaron par mafruq chehre laut chaliye apne sab arman le kar jhut hai guzra zamana aur kisi ujde qabile ki bhatakti ruh shayad apne mustaqbil ka dhundla sa tasawwur bahr-e-gham ke darmiyan hai ek kale koh ki manind ye imroz apna koh jis par raqs karte hain sitam-khurda tamannaon ke aaseb laut chaliye apne sab arman le kar sochiye to yun abas aatish-kadon mein kyun jalen dil kyun rahen har waqt sinon par chatanen dekhiye to chand luqme kuchh kitaben ek bistar ek aurat aur kirae ka ye khali tang kamra aaj apni zist ka markaz hain lekin tirgi ka gham inhen bhi kha raha hai chaar jaanib zahr phaila ja raha hai laut chaliye apne sab arman le kar apne sab paiman le kar jism le kar jaan le kar