koyal

aam ki shakhon mein mojar is sal bahut kam aaya hai
kyon der se koyal kuk rahi hai

kya samjhun fitrat ke ishaare
hans kar ek bhole bachche ne bhi sath hi us ke kuk shurua ki

jaise chidana chahta ho wo
koyal ki is ku hu ku hu par

ya phir donon hi waqif hon
bagh ki bhini khushbuon se

hawa ke jhonke kya kahte hain
daliyan jhuk kar kya sunti hain

ghaur se koyal ki surkh aankhen dekh ke bachcha bol utha
kyon kukti hai kyon roti hai tu

aam ke phalne aur na phalne se koyal
pyari koyal tujh ko faeda hi kya hoga

mojar aae na aae teri bala se
chup rah koyal ranj na kar ja ud ja

main ne suna hai aam ke phalte
tera to munh pak jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close