ammi ki mohabbat milti hai abbu ki bhi shafqat milti hai ai mazi tere ek daman se kya kya mujhe daulat milti hai bachpan ka zamana tujh mein hai har lamha suhana tujh mein hai jo khwabon ko dastak deta tha wo ahd purana tujh mein hai nakaami na ye na-shadi thi be-fikri thi aazadi thi shahzada tha main armanon ka ummid meri shahzadi thi har kina hasad se dur tha main har aadat-e-bad se dur tha main masum tabiat thi meri shaitan ki zad se dur tha main ye chand khilauna tha mera ek sapna sunahra tha mera mutthi mein thi duniya band meri ye sara zamana tha mera bachpan ka zamana bit gaya wo mit gae wo git gaya 'shahzad' ab aksar sochta hun kya haar gaya kya jit gaya