jo sun leta hai gosh-e-dil se afsana kanhaiya ka wo ho jata hai sachche dil se diwana kanhaiya ka nazar aati hai jis ko khwab mein wo surat-e-dilkash wo apna dil bana leta hai kashana kanhaiya ka surur-o-kaif ki milti hai us ko lazzat-e-daim laga leta hai honton se jo paimana kanhaiya ka tum apna hath phailao zara saqi ki mahfil mein ki banta ja raha hai aaj paimana kanhaiya ka kisi par band hone ka nahin mai-khana-e-ulfat chale aao khula rahta hai mai-khana kanhaiya ka kanhaiya ki mohabbat mein jo jaan par khel jata hai use sab log kah dete hain diwana kanhaiya ka 'nahif' apne parae sab isi ke dil mein rahte hain sab apne hain nahin koi bhi begana kanhaiya ka