rag-yug ki nazMein

baja kabhi na thamne wala
shewan sukhi phaliyon ka

gard-alud hawa ke jhakkad
itni uthal-puthal jari

sannata phir bhi sannata
ek khinchi kaman

wo kab tuta kab phuta
hashiya-e-diwar ki surat

dher sunahra
pile sukhe patton ka

charmara karta zarar se aari
khak mein rulti charmar us ki sunta hua

khidki se chipka tha khada wo be-parwa
har aahat ke har aawaz ke dhanche mein

reng raha beri bhedi
gahna itna por por sunahra lade

tahni tahni jogan pairagan
chup ki dad kamana chahen

som lataen
ragniyan sab

kya dipak kya megh
rag-yug bita

kab bita rag-yug
tere ganw ki chhanw

tera singhasan udan-khatola
kin tilon ke tale

bachche khel rahe hain apna
shorikar ka khel purana

rag-yug kahe dhup jahan
pili hai to kabhi dhani

bahta pani
roida uljhao

khas-o-khashak dhatura nag-phani
aur wahin champa ki shakh bhi

sar-tabi se phule-phale
aahan tez kadi dhupon ka

aur bhi kuchh pighle
tapta khun hai pi jaega

som amrit ka ye ghunt
lu chalti rahi

qatra qatra pasina kab ka sukh chuka
taza-dili ke halkore aankhon mein magar

ab bhi baqi
dhul bhari pagdandi balkhati mudti hai

raqs-kunan hai bagule mein ek barg-e-surkh
kohistani silon ke beach chamakta pani

ek jhadi se udanen bharti
baala baala paron ki jhilmil

dusri jhadi mein ru-posh
itni si ek baat usi se

sona sona dil ka ufuq
rang bhara nairang bhara

jal mein dube aks ude
titli ke paron se

wo jal tha
nar-muhi

halchal se jo baz raha
dil to na tha

kab us ki thah mein jhalka hua
damki damki hun barsati dhund ka ek purab

titli ke paron se ud paya
ek pukar suhani thi wo

fasle shunawai ke le jis ko darkar
tab dard ki lau tez hui

meri apni sima thi
mera apna dosh

us se nikle sab jhagde dukhde
duniya kahti hai hum bhi

kahte hain apni apni gatha ka use harf-e-aghaz
tafa-ba-tafa khushbu chhanti rahi

sahj subhaw mein apnaiyat ka rachao rachati
magar kasauti ke patthar mein jab dhal jati

tab takrao atal
tab sahna ghaw pe ghaw

magar uf kahna aar magar
uf kahna haar

tab barbaadi
takht-e-sulaiman tha jaise barbaad raha

apni khushi se kaun us ka
apni marzi se padaw

kohra chhawni chhane aaya dewgiri par
aanan-fanan dewgiri

sar-ba-falak ek rui ka dher
dhunki bhi naddaf ki phurtili thi

aur naddaf bhi tez
in hum aan hum din hum jaan hum

raft hi raft ki dhun par gale udte hue
aandhi ne dekhe aandhi ko hanke ki sujhi

lekin chhupe mozahim wo pech-o-kham kadi chattanon ke
kab hanke gae

kitni bar hua aisa
silsila mast-e-alast ye qaem

nilahat ke adam ke pas-e-manzar se ubharta
hairan hairan aankhon ko dikhlai diya

ghum raha hai parwana
chakraya be-sada ho ke gira

phir chandi chandi rakh hua simti
bikhre bikhre par wo jude

phir bahki bahki udan bhari
takraata hai fanus se

sham-e-tamanna
takrane de use

aakhir is ka apna bhi ek
fanus habab-asa hai khwab-asa

wo jitna chakna-chur utna hi
nur-e-zuhur ka aalam us se phata padta

kab ho pai ye shikastagi puri
mukti

wo shaguftagi puri
yun ek pal

jhonk diya jata hai us mein
ab jab tab se warasta

man-mana bahaw
tab tum bin duja be-hamta

kaun is ke jine marne ka
phir mar kar ji uthne ka jawaz

kal-jug ke pas jag ke kheton se phute
git rahat ka

sairabi hi us ki lai
rut rut naya rahe lauh-o-qalam tere

sarmad sargam
kahan ugam tera kahan ugam

tera sabucha gahwara tera
har roz-e-raushan

tujh ko saje aalam aalam ham-ahangi
lekin apni tarang ke sath

ban chidiyan be-rok udanen
be-bandish chahchahe

sangat mein purabi nawa ki
hare-bhare zamzame

ghuli-mili un mein ek kuk
musalsal sah zarbi

deti hai an-dekhi kisi hudhud chidiya ka pata
ye apni pahchan ki rut ke pakheru

unchi ghas mein chhap ke nawa paira
chup ho jaen

tab bhi gunj ke aangan mein
rim-jhim barse jaana jari

haar-singhaar ki kaliyon ka
pankh huma ke khulte rahe aur judte rahe

afshan ke bikhrao mein dhire dhire ujagar hote hue
simabi kare

panap sake to panpe insan
nar-nari mein wa manda wo nashw-o-numa

suraj-mukhi kashida-qamat
ranai dar ranai khulta hua imkan

jitna pine itna aur panapne ka arman kare
apni hi binai ki tausia si

pal pal taza numud fazaon mein
pine warna

phir kya hai naghme ki asas
warna tund takrar bhi

chob bhi tar bhi
rakh sitaron ki

jhadti hui paiham sard anfas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close