rishte, chahat, shohrat, daulat tere liye sab be-maya tara hai kisi ki aankhon ka tu aur na kisi ka man-jaya hai dost na koi ham-saya maidanon se aankhon ki guzarta ek saya maqsud-ali! maqsud-ali! diwana hai tu hum ko bata ya koi wali? wo roz-e-azal ka dohraya hai ek saya jis ki ek duniya hai apni dahshat ke mehwar par gardan wo duniya roz o shab mein jo taqsim nahin khanon mein bati taqwim nahin jo raaz hain hum se makhfi us par zahir hain wo qalb-e-hasti ke andar hum bahar hain madum hai wo maujud ho tum wo la-had hai mahdud ho tum hasti ke aalam se baala hargiz wo tum se baat nahin karne wala wo sannate ka harkara hai, hont sile hai dur kahin, hum sab se pare kohre mein ghiri aawaz pe apne kan dhare (ya ghaar-e-qadimi ki sangin tariki mein bahr-e-aghaz ke pani ka pur-haul taqatur sunta hai aur jhuk kar bahte pani se taron ke zarre chunta (hai wo roz-e-azal ka dohraya ek saya hai jo darham-barham kar dene duniya ko hamari aaya hai