purane daur mein rahta tha ek kisan aisa jo baat baat pe sab se sawal karta tha hasin aur zahin apne donon beton ke khud us ne nam bhi kya aur kaun rakkhe the bada tha umr mein kya us se kaun tha chhota sharir donon the aur qad tha donon ka uncha ye waqia hai ki ek roz apni hajat se zaif aaya koi un ke bap se milne kaha ye donon ne is se abhi gae hain kahin wo laut aaenge jaldi hamein hai is ka yaqin agar ho kaam zaruri to baithiye baba zaif soch ke kuchh un ke ghar mein baith gaya sawal us ne kiya kya se kya hai nam tera jawab hans ke diya kya ne kya hai nam mera kaha zaif ne main sun saka na nam tera khuda-ra phir se bata mujh ko tera nam hai kya to kya ne zor se fauran kaha ki main kya hun tumhaara beta hun baba tumhaara beta hun zaif sun ke hua mushtail jawab us ka rukh apna kaun ki jaanib phir us ne mod liya kiya sawal ye us se hai bhai kaun tera kaha ye kaun ne kya mera bhai hai baba zaif zor se bola ki kya hai nam tera kaha ye kaun ne main kaun hun mere baba kiya sawal ye phir us se tera nam hai kya mere sawal ko kya ab bhi tu nahin samjha bata tu kaun hai ye sun ke kaun phir bola main kaun hun ye haqiqat hai ai mere baba kaha ye kya ne mera nam kya hai ai baba nahin hai shak koi is mein hai bhai kaun mera zaif sun ke ye aape se ho gaya bahar kaha ki sharm ho tum par sharir-o-bad akhtar ye kah ke tezi se bahar nikal gaya ghar se sharir ladke magar khilkhila ke hanste rahe