kaise khinchun teri taswir tu gum hai ab tak tujh ko ai jaan-e-jahan main ne to dekha bhi nahin jab kabhi abr shab-e-mah mein uda jata hai aabshaaron se sada aati hai chhan-chhan ke kahin ya kabhi sham ki tariki mein tanhai mein jab kabhi jalwa jhalakta hai teri yaadon ka main sajata hun khayalon mein hasin khwab koi samne aati hai do pal ke liye tu ai dost aur ai parda-nashin tera jo chilman hai hasin main badhata hun qadam us ko hatane ke liye na-gahan dur se aawaz koi aati hai kanp jata hai, dhadakta hai mera shisha-e-dil aur phir dhundli fazaon mein tu kho jati hai dekhta hun jo main mud kar ki pas-e-pusht hai kaun yas ke bahr-e-siyah-posh pe raqsan raqsan zahr-alud tabassum ki kataren le kar koi lahraata hua saya nazar aata hai