hamein tum muskurahat do tumhein hum khilkhilate roz o shab denge ye kaise ho ki tum bauchhad do to hum tumhein jal-thal na de den aur sahraon ko farsh-e-ab na kar den hamara dhyan rakho tum tumhein duniya mein rakhenge hum apni aarzuon ki ye kaise ho ki tum socha karo aur hum tumhaari soch ko tajsim na kar den murawwaj chahaton ke be-lachak aain mein tarmim na kar den tumhein ye bhi batate hain agar koi khalish hai ya koi ibham hai dil mein to phir aage nahin badhna ki hum shaffaf hain shaffafiyan hi chahte hain be-nazar shishon mein apne aks ko maila nahin karte tumhein ye bhi batate hain agar tum chhab dikha ke chhup gae to hum tumhein dhundenge chahe aap kho jaen agar tum kahkashan maskan banaoge to hum bhi raushni-zade hain suraj ke pujari hain hum aise sab sitare tod dete hain jo hum se raushni ki bhik bhi lete hain aankhon mein bhi chubhte hain agar patal mein chhupne ki koshish ki to phir ai sim-tan! dharti hamare waste sona ugalti hai bhala chandi kahan is mein thaharti hai hamari rah mein shisha-numa pani ki jhilen mat bichhana tum ye kankar phenk kar hi faisla hoga ki us pahnai mein kashti utarti hai ya phir hum panw dharte hain magar aisa na karna tum ki hum aisa hi karte hain