naya din hai nae manzar nae sae purana aadmi main nai duniya mein rasta dhundhta hun meri aankhon mein ab bosida khwabon ke siwa kuchh bhi nahin hai mere hathon ke sab naqshe purane ho chuke hain in lakiron ka nai duniya ki rahon se koi rishta nahin hai bahut muddat hui ek aashna aawaz ne mujh se kaha tha tum agar chaho to main tum ko rasile khwab de dun raushni ke khwab kaif-o-sarkhushi ke khwab aise khwab jo dukh-dard se mahfuz rakhte hain jinhen aankhon mein rakh lene se duniya khub-surat lagne lagti hai magar main ne kaha us se tum apne khwab apne pas rakkho main nai duniya ki jaanib ja raha hun mujhe khwabon se kya main to haqiqat ka pujari hun ghurur-e-agahi ne mujh ko diwana bana rakkha tha shayad agar main wo rasile khwab le leta to achchha tha haqiqat maut hai wo mujh ko khud hi dhund leti zindagi khwabon ka mausam hai nai duniya mein lekin mausami mewe bhi mahnge hain agar main wo purane khwab le leta to achchha tha