samandar ki betab lahren lapakti-jhapakti meri or badhti chali aa rahi hain hawaon ki yalghaar se har shajar sar-nigun ho raha hai har ek rahguzar lahza-lahza sada de rahi hai magar main kinare pe gum-sum khada hun fazaon mein har samt sad-rang taswiren bikhri hui hain magar meri aankhon mein raqsan tahi-manzari hai mere chaaron jaanib qalam aur kaghaz pade hain magar zehn mein mere koi kahani nahin hai kisi she'r ka bhi hayula nahin hai main is lamha shayad kahin apne andar utarta chala ja raha hun