janam ka andha jo soch aur sach ke raston par kabhi kabhi koi khwab dekhe to khwab mein bhi azab dekhe ye shahrah-e-hayat jis par hazar-ha qafile rawan hain sabhi ki aankhen har ek ka dil sabhi ke raste sabhi ki manzil isi hujum-e-kashan-kashan mein tamam chehron ki dastan mein na nam mera na zat meri mera qabila safed chhadiyan