1 ye bachcha kaisa bachcha hai ye bachcha kala kala sa ye kala sa matiyala sa ye bachcha bhuka bhuka sa ye bachcha sukha sukha sa ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha kaisa bachcha hai jo ret pe tanha baitha hai na is ke pet mein roti hai na is ke tan par kapda hai na is ke sar par topi hai na is ke pair mein juta hai na is ke pas khilaunon mein koi bhaalu hai, koi ghoda hai na is ka ji bahlane ko koi lori hai, koi jhula hai na is ki jeb mein dhela hai na is ke hath mein paisa hai na is ke ammi abbu hain na is ki aapa khala hai ye sare jag mein tanha hai ye bachcha kaisa bachcha hai 2 ye sahra kaisa sahra hai na is sahra mein baadal hai na is sahra mein barkha hai na is sahra mein baali hai na is sahra mein khosha hai na is sahra mein sabza hai na is sahra mein saya hai ye sahra bhuk ka sahra hai ye sahra maut ka sahra hai 3 ye bachcha kaise baitha hai ye bachcha kab se baitha hai ye bachcha kya kuchh puchhta hai ye bachcha kya kuchh kahta hai ye duniya kaisi duniya hai ye duniya kis ki duniya hai 4 is duniya ke kuchh tukdon mein kahin phul khile kahin sabza hai kahin baadal ghir ghir aate hain kahin chashma hai kahin dariya hai kahin unche mahl atariyan hain kahin mahfil hai kahin mela hai kahin kapdon ke bazar saje ye resham hai ye diba hai kahin ghalle ke ambar lage sab gehun dhan muhayya hai kahin daulat ke sanduq bhare han tanba sona rupa hai tum jo mango so hazir hai tum jo chaho so milta hai is bhuk ke dukh ki duniya mein ye kaisa sukh ka sapna hai wo kis dharti ke tukde hain ye kis duniya ka hissa hai 5 hum jis aadam ke bete hain ye us aadam ka beta hai ye aadam ek hi aadam hai ye gora hai ya kala hai ye dharti ek hi dharti hai ye duniya ek hi duniya hai sab ek data ke bande hain sab bandon ka ek data hai kuchh purab pachchham farq nahin is dharti par haq sab ka hai 6 ye tanha bachcha be-chaara ye bachcha jo yahan baitha hai is bachche ki kahin bhuk mite (kya mushkil hai ho sakta hai) is bachche ko kahin dudh mile (han dudh yahan bahtera hai) is bachche ka koi tan dhanke (kya kapdon ka yahan toda hai) is bachche ko koi god mein le (insan jo ab tak zinda hai) phir dekhe kaisa bachcha hai ye kitna pyara bachcha hai 7 is jag mein sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai wo sab ka hai sab apne hain koi ghair nahin har chiz mein sab ka sajha hai jo badhta hai jo ugta hai wo dana hai ya mewa hai jo kapda hai jo kambal hai jo chandi hai jo sona hai wo sara hai is bachche ka jo tera hai jo mera hai ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha sab ka bachcha hai!