ek pahadi ki unchi choti par main banaunga ek aisa ghar jis mein chaaron hawaen aaengi aur sandese nae sunaengi aa ke baad-e-junub-o-baad-e-shimal dal degi sunahri nind ki shaal sham ko sej par sulaegi subh ko munh mera dhulaegi mashriqi aur maghribi jhonke jild ko meri saf kar denge aur jab is ghar mein raat aaegi tirgi chaar samt chhaegi jhil hogi siyah shab madhosh chand aur phul chup hawa khamosh to mera ghar saman dikhaega chand taron mein muskuraega