mohabbat daimi sukh hai

mohabbat daimi sukh hai
ki jis ko mit ki ghadiyan

kabhi kam kar nahin saktin
ye mausam ek dafa aae

to phir aa kar shahr jae
hasin shadab si kaliyan

nigahon mein saman jaen
to phir ye mar nahin saktin

khayalon ki rawani mein
ki jaise bahte pani mein

kanwal khil jaen khwabon ke
to fitrat muskuraati hai

ishaara kar ke taron se
chhalakte aabshaaron se

madhur sargoshiyan kar ke hamein rasta dikhati hai
ye rasta kis qadar hairan-kun manzar dikhata hai

usi raste pe insan khud ko pahli bar pata hai
mohabbat ko saza kahne se pahle soch kar rakhna

ki jo us se bichhad jae
use manzil nahin milti

bikhar jaen jo ban kar khak phir mahfil nahin milti
mohabbat daimi sukh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close