main sochta hun ki mere tan ka ye nichla hissa jo masiyat ke muhib ghaaron mein gir gaya tha jise koi dew ain ahd-e-shabab mein apne ghaar ki tirgi mein mahbus kar gaya tha jise gunah ka ghana andhera khud apne khun mein umadti aatish ka raqs gardish ka shor-o-ghaugha wo ishq-e-pechan ki bel jise gathe hue khwab qahwa rangat gudaz ko lahu ke lams abreshmi mulaem bhare bhare se gulabi honton ka lazzaten lahr lahr ban kar ubharti jhagon ki andhi khaiyon mein dub jaane ki khwahishen aks jhaalron ke hawas ki barish ke garm chhinte wasile jismon ke qurb ke imbisat tan ke bahut satate the achchhe lagte the