aaj kis aalam mein hain ahbab mere aankh mein tab-o-tab o nam kuchh nahin dil kisi refrigerator mein rakhe honge kahin jism hazir hain yahan ghaeb dimagh muskurahat: ek lipstick khanda-peshani naqab ruh: burqa-posh: aankhen be-hijab! kis liye mujh ko pareshan kar rahe hain khwab mere nind ke zakhmi kaf-e-pa se tapakta hai khud apna hi lahu khwab mein phulon se aati hai khud apne khun ki bu be-amal hun (khwab mein hun) phir bhi jari (ek benam-o-nishan si) justuju darmiyan se is zamin ko chirta jata hai chaak-e-irtiqa maut aa kar khatkhatati rahti hai dar aankh ka kis liye khinchte chale jate hain ye aasab mere ahd-e-nau ke kis mughanni ka junun tarsaptak main unhen karta hun tune kaun in taron ko itna kas raha hai tut jaenge to is naghme se bhi mahrum ho jaega saz jis mein shamil hai shikast-e-zat ki aawaz