lahu ko surkh gulabon mein band rahne do shikasta khwab ke shishon pe us ka aks pade siyah mitti ke niche safed baal jale kisi ke dant meri ungliyan chaba jaen khala ke zine se parchhaiyan utarne lagen har ek lamhe ke chehre pe dhup marne lage udas waqt ke kandhe pe hath rakh ke chalun buzurg bap ke chehre ki jhurriyan chumun khamosh hain dar-o-diwar khidkiyan chup hain gali ke mod pe ruk jae raat ka saya mujhe na roko mujhe meri man se milne do ye mere bhai ye bahnen ye hamila biwi lahu ko surkh gulabon mein band rahne do