kali ainak lagae ghumte rahna suraj mein sadkon par hotalon mein theateron mein masjidon mein dukanon mein railway platform par bhatiyar galiyon mein shamil hona bujhe bujhe chehron wali bhid mein takte rahna safed diwaron ko akele layani hai sab kuchh aur jo dikhai deta hai wo nahin hai phir bhi dikhai deta hai koi farq nahin padta panw hain juraben na hone se life aur time na padhne se yahi kya kam hai ki subh se sham tak jama karte hain lafzon ko radio sunte hain aur dekhte hain mere hue kabutar ki aankh school se lautte hue bachche sharab ki jhil mein tairte shikare pachas se kam sher ki ghazal nahin likhte firaq aaj bhi qabaili kamar se bandhe phirte hain chaalen gaz ki shalwar kya hota hai nam se ya sher kahne se ya din-bhar unghte rahne se ya kitaben sunghne se tash khelne ka maza hi aur hai ahamadabaad ho ya lahore har jagah hota hai suraj ghar baithe ganga hai bhai congress mein phut pade ya sat hazar insan mar diye jaen bhuke uthte hain har subh bistar se kisi ne dekhe hain baiket aur picasso kabaddi ke maidan mein ya gambarsong ko istiri karte hue nickson se le kar murar-ji tak koi bhi rok na saka chhink aur khansi ab aankhen khol dijiye hazrat dekhiye pura america chhink raha hai khans raha hai idhar dekhiye ye hindostan bhi chhik raha hai khans raha hai khans raha hai chhik raha hai kahan se shurua hui hai tarikh aur kahan ja kar rukna hai logon ko udas rahti hain hamila aurten bas aur cinema ki qatar mein gher rakkhi hai zamin bhikariyon ne aur mangao charas aur ganja phir bhi alag karna mushkil hai purani ko new-delhi se lashon ko dekh kar mahfuz nahin hote tum kaise aadmi ho kahan gain wo tawaifen kahan gae wo qawwal mani to har lafz mein maujud hai lekin