to kya dekhta hun faza nur hi nur thi pahad apne andar se phute hue dard se jal raha tha padosi samundar sunahra hua tha bashaarat mili thi nanon, kahinon ke barhana hujum dahne hath mein apne gham aur baen mein apne sawal aur ranon mein ghodon ki pithen pahan kar nikal aae the raushni ki taraf khamushi se badhe ja rahe the khunuk aur hairan aankhon se takra ke wapas palatti shuaon se andhi chatanon ke kham jal uthe the to kya dekhta hun wo choti ke pas pahunch kar larazne lage the dhamaka hua tha ajab ek sayyal malghuba in ki taraf badh raha tha isi tel mein bhig ke ek zaitun ka ped mishal bana jal raha tha