us se rishta raha ajab mera aa gaya nam be-sabab mera us se aage ke marhale pe magar na-rasai ke silsile pe magar main to kuchh bol bhi nahin sakta raaz ye khol bhi nahin sakta silsila dur tak udasi ka ek manzar hai na-sipasi ka jhut ho waqt ho ki ishq-e-mudam yaad ho khwab ho ki hij-e-dawam un ke to panw bhi nahin hote aur wo chal kar aae mere pas bar-e-ehsan bhi mujh pe dal gae le ude chhin kar wo hosh-o-hawas jaane sab ho gae kahan ru-posh han wahi jaan-e-asman-bar-dosh shor hai khitta-e-adawat mein main hun phir hujra-e-nadamat mein kho gaya shauq-e-intizar mera chhin gaya mujh se mera shahr-e-najat kis bayaban mein us ne dal diya ho gai dur shahrah-e-hayat yun rukh-e-e'tibar bhi tuta mazhab-e-ikhtiyar bhi chhuta ishq jab imtihan leta hai shahr-e-mahbub chhut jata hai main wo patthar jo tutta bhi nahin sabr-e-ayyub tut jata hai