kaisa lagta hai ab jab ho gae hain ek jaise chaaron or chhor sarbanon ke kahin baithte uthte mudte tutte sar hain na unton ke gale ki ghantiyon ki duriyon ke dariyaon mein dhire dhire dubti gunjen na kahin khachcharon pe baithin khwab buntin khana-ba-dosh doshizaen jin ke birhe sunne thahar jata tha sawan tumhaare sahn mein bhi shauq ki takmil karne shutar par shab hi ki shab mein dariyai sahrai safar kar lautne wale dilawar bhi nahin kuchh bhi nahin pasarti samton mein ghurti tanhaiyon ko zard aankhen tumhaari pal pal phailti jati ek pili saen saen