mohabbat ko tum lakh phenk aao gahre kuen mein magar ek aawaz pichha karegi kabhi chandni raat ka git ban kar kabhi ghup andhere ki pagli hansi ban ke pichha karegi magar ek aawaz pichha karegi wo aawaz na-khwasta tiflak-e-be-pidar ek din suliyon ke sahaare bani-nau-e-insan ki hadi bani phir khuda ban gai koi man kai sal pahle zamane ke dar se sar-e-rah-guzar apna lakht-e-jigar chhod aai wo na-khwasta tiflak-e-be-pidar ek din suliyon ke sahaare bani-nau-e-insan ka hadi bana phir khuda ban gaya