tu chali ja ki mujhe teri zarurat bhi nahin main shab-o-roz ki mitti se dobara bhi janam le lunga main jo zindon mein hun zindon mein nahin main parindon mein darindon mein nahin faqat insanon mein maujud hai saya mera muddaten bit gai hain magar anjam na aaya mera main sipahi to nahin phir bhi ladi hain kai jangen main ne pahli hi jang thi wo jis mein kate hath mere dusri jang mein bazu bhi gae tisri jang mein phuti meri donon aankhen aur phir jang pe jang ab mere jism ka hissa nahin aisa koi jis mein zakhmon ke nishan raat se kam gahre hon aakhiri zakhm lagaya tu ne tu ne khamoshi ki shamshir se mara mujh ko ab janam lena hai duniya mein dobara mujh ko phir nae hath nae bazu nai aankh lagani hai mujhe phir masihai dikhani hai mujhe phir nai jang ki karni hai mujhe tayyari aankh ko phodna hai dhundni hai bedari tu mujhe mar ke khush thi ki main mar jaunga sukhi mitti ki tarah khud hi bikhar jaunga magar ai meri aziyyat ki amin main tere khun mein maujud rahunga har waqt surkh zarron ki tarah jin mein hawa hoti hai zinda rahne ki ada hoti hai tu mujhe kaun si talwar se kategi bata ab safar mera teri chalti hui sans ke andar hoga