udasiyon ki rut bhi kya ajib hai koi na mere pas hai tum to mere pas ho magar kahan hawa ki khushbuon mein sabz raushni ki dhul mein dil mein bajti taliyon ke pas udasiyon ke zard baal jal uthe the us ghadi tumhaari sard yaad ke safed phul khil uthe the jis ghadi nazar mein ek safed barf gir rahi thi dur tak surkh belen khil uthi thin yaad ki chhaton ke pas udasiyon ki rut bhi kya ajib hai yaad ki chhaton pe surkh phul hain dur dur sabz raushni ki dhul hai aur barf gir rahi hai khamushi ke sard jangalon ke pas