ye ahd-e-nau ka chalan hai ya ye shauq tumhaara azali hai tum calender tarikhon ko kisi aur hi nam se jaante ho yan jazbe rishte fikr aur fard ayyam se hain mansub sabhi kabhi darman karna chaha kuchh amraaz ka de kar din ka khiraj jangen bhi tumhaari hi ijad aur yaum-e-aman ka dhong bhi tum tum wo jo surat-e-qahr gire is ru-e-zamin ke shahron par phir un shahron ke nam se din mansub bhi karne wale tum han bhul gae us hasti ko makhsus koi bhi yaum nahin hai us ke jashn-e-charaghan ko ho jis ki siyah-zulfon ke asir awwal din se kya kya nahin hile tum ne kiye meri hi talab ki ungli thame atom bam ijad kiya kabhi zer-e-zamin rah-e-atish hamwar kiya kabhi dekha chashm-e-falak ne manzar jab tum tham ke bahen meri the masrur bahut ek ahd-e-hajar se masnui fatanat tak jab bhi koi khun-asham sada takrai mere kanon se main pair mein ghunghru bandh uthi inkar kiya tum ne jab mere jashn-e-charaghan ka main ne ek sal mukammal apne nam kiya lekin tum ne harf-e-ghalat ka nam diya chaha ki kar do mahw mujhe is ru-e-zamin ke safhe se sal-e-nau ki is ujli tabinda faza mein faisla apne hath mein lo ya meri parastish band karo ya mere nam ek jam karo cheers kaho ye sal bhi mere nam karo