lal qila

tum ise jaante ho ye kya hai
pyare bachchon ye lal qila hai

lal patthar ke hain dar-o-diwar
is mein karte the baadshah darbar

pahle jaisi na ab hukumat hai
pahle jaisi na ab hifazat hai

han magar is ke gate ke bahar
kuchh sipahi hain ab bhi pahre par

dekhte hain ise ticket le kar
is ke andar hai ek ajaib ghar

jis mein sikke hain baadshahon ke
jis mein kapde hain baadshahon ke

jis mein rakhe hain anginat hathiyar
jaise banduq dhaal aur talwar

lal qila jahan mein hai mashhur
jama masjid se hai ye thodi dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close