pul ke niche jhank ke dekho aaj nadi tufani hai biphri lahren jhag udati hain kya zinda pani hai aur bhanwar pul ke be-rang sutunon se takraate hain jin par bojh hai us pul ka wo shane tute jate hain wo ek kubda ped nadi par yun jhuk aaya hai jaise ek kinara hath badha kar dusre se milna chahe dur ek medak chikh raha hai, khatron se aazad hun main is se badh kar ghaarat-gar tufan nazar se guzre hain ek pani ka sanp na jaane kab se us ki tak mein hai wo bhi jaanta hai ye raaz ki milna aakhir khak mein hai ek qamis chali aati hai jaane kahan se bahti hui jis mein nakhun gad diye hain ab ek aabi jhadi ne is ka malik bichhad gaya hai ye bhi us ke pas chali ek bahte darwaze par ek bhigi billi baithi hai jo aane wale lamhon ki babat sochti jati hai sochte sochte us ki aankhen ho jaengi sehr-zada aur us ke baalon ka resham pani mein mil jaega lahar ki ek diwar giri aur bulbule dab kar tut gae jin ki phutti aankhon se kuchh khwab nikal kar bhag chale ye khwabon ke dekhne wale aakhir kyun nahin sochte hain sab afsane jhute hain, sab khwab bikharne wale hain is la-fani jhut ke pichhe sach hai agar to itna hai ye sab kuchh hota rahta hai pani bahta rahta hai