kuchh sunne ki khwahish kanon ko kuchh kahne ka arman aaankhon mein gardan mein hamail hone ki betab tamanna banhon mein mushtaq nigahon ki zad se nazron ka haya se jhuk jaana ek shauq-e-ham-aghoshi pinhan in nichi bhigi palkon mein shane pe pareshan hone ko bechain siyah kakul ki ghata warafta nigahon se paida hai ek ada-e-zulekhai andaz-e-taghaful tewar se ruswai ka saman aaankhon mein furqat ki bhayanak raaton ka rangin tasawwur mein aana ifsha-e-haqiqat ke dar se hans dene ki koshish honton mein aansu ka dhalak kar rah jaana khun-gashta dilon ka nazrana takmil-e-wafa ka afsana kah jaana aaankhon aaankhon mein