jis roz dhup nikli aur log apne apne thande gharon se bahar hathon mein dale suraj ki samt nikle us roz tum kahan the jis roz dhup nikli aur phul bhi khule the the sabz bagh raushan ashjar khush hue the patton ki sabz khushbu jab sab gharon mein aai us roz tum kahan the jis roz aasman par manzar chamak rahe the suraj ki sidhiyon par udte the dheron panchhi aur saf ghatiyon par kuchh phul bhi khule the us roz tum kahan the jis roz dhup chamki aur fakhta tumhaare ghar ki chhaton pe boli phir mandiron mein aain khushbu bhari hawaen aur nanhe-munne bachche tab aanganon mein khele us roz tum kahan the jis roz dhup nikli jis roz dhup nikli aur algani pe dale kuchh sukhne ko kapde jab apne ghar ki chhat pe khamosh main khada tha tanha udas belen aur dopahar ke panchhi kuchh mujh se puchhte the us roz tum kahan the