andhi raat ke aate hi sab chup-chap se ek goshe mein simat gae par main ne apni kutiya ki tariki se jang ki thani khud ko ek matki ke diye mein dhaal diya tab chhote se aangan mein nannhi-munni muskati kirnon ne jhumar dala sab ke raushan raushan chehre hansne lage lekin subh ke jagte hi meri thaki thaki si nannhi-munni kirnon ko thokar se udate dur tak phaile hue khet mein shabnam ke qumqume mitate raushni ke ambaron mein se rasta banate jagmag jagmag suraj ke aiwan ki jaanib badhne walo! mere apno mujh ko kutiya ke ek taq mein rakh kar bhul gae ho??