aqaed kirm-khurda khatt-e-na-malum mein likkhi kitabon mein kahin mahfuz hain malum ki buniyaad na-malum par ek mazhaka ye silsila mansukh kab hoga main jo kuchh manta hun jaanta hoga mujhe ye jaanna hoga ki main ek din darun-e-qabr, zer-e-khak khak-e-sard o na-hamwar mein so jaunga aur mere chehre honton aankhon mein chalengi chyuntiyan raste bana dengi hua tha runuma jis se mujhe us mein mila dengi mujhe ye jaanna hoga ki ek din main nahin hunga magar ye roz o shab ye shadi o gham dasht dariya koh aur ye zindagi ka shor-e-ba-taghir sab baqi rahega han mujhe ye jaanna hoga ki garche main nahin hunga ye mera haq-o-na-haq sabt hota ja raha hai aur sada baqi rahega