us ne apne safed papote jhapkae matyali aankhon se pure aasman ko taka aur suraj ko god mein bhar kar bola badi aag hai tujh mein chal tujhe qutub-shumali mein dafn karte hain chhote chhote sayyaron ki bhi apni zindagi hoti hai unhen apne apne kurre par ghumne de kis mein pani hai kis mein hawa ye dekhna tera kaam nahin apne sayyare pe zindagi ki alamaten dhundhna talash ka pahla nukta hai teri duri farhat-bakhsh hai qurbat andoh-gin tujhe god mein le kar meri aaghosh mein chhaale pad gae takhliq ke pahle marhale mein nizam-e-shamsi tartib dete hue tujhe markaz mein rahne dena meri bhul to nahin