nind ke taaqub mein dur dur tak la-hasil der se bhatakta hun nili aankhon wali jangali billi bar bar dum hilati hai meri chaarpai ke niche nim raushan lamp ke ird-gird kidon par jhapatti chhipkali be-khabar hai apne ant se kitna ghair-mutawaqqe hoga mil jaana anant se mitti ke tel ki gandh qulanchen bhar rahi hai kamre mein be-lagam ghodi ki tarah chhat par rengti hui khamoshi bar bar dohra rahi hai papi nishacharon ka git aur nind milon dur kisi na-malum darakht ke patton mein chhupi chidiyon sa chahchaha rahi hai mujhe bula rahi hai