mai bhi hai saqi bhi hai phir lutf-e-mai-khana nahin meri baaton ko samajh le aisa diwana nahin gardish-e-ayyam ne bhi mujh ko pahchana nahin phir se lauta do khudara meri tanhai mujhe ranj-o-gham dekhe hain main ne aur khushi bhi dekh li dida-e-insan mein qadr-e-zindagi bhi dekh li zakhm dil ke kyon kuredun dosti bhi dekh li phir se lauta do khudara meri tanhai mujhe phir tasawwur sham-e-furqat ki taraf jaane laga shiddaton ke sath koi mujh ko yaad aane laga ab bhari mahfil mein mera ji hi ghabrane laga phir se lauta do khudara meri tanhai mujhe